Saturday, November 12, 2016

Neela Akash Jo Ek Samandar Hai

Rock On 2 me ek gana hai "neela Akash jo ek samandar hai" jiske bol adhure hain. shraddha kapoor farhan akhtar ko kahti hai ki is gaane ko poora karo... farhan ke bol mujhe yad nahi isliye main apne hisab se complete kar raha hu
Neela Akash jo ek samandar hai
Wo jhankta hai meri aankhon me
Aur dekhta hai
ki wo to mere andar hai
Akash jo poore zamane se
Aundha moonh karke baitha hai
Ek samandar jisne najane
Kitne qisson ko sameta hai
Ek Akash jo hai
toote dilon jitna khushk
Ek Samandar jo hai
taaza zakhm jitna shushk
Ek Akash jo itna neela hai
Jitna neela hai samandar
Ankhon ko dikhte hai dono ek jaise
Par andar jhankon
to bahut farq hai inke andar
Ab ye batao
ki akash hai ?
ya samandar hai ?
Wo jo mere andar hai

Featured Post

ek ghazal

मुसीबतों का दौर इन्सान पर तभी से टूट जाता है मसरूफ़ियत में जब इबादत करना छूट जाता है नेक इरादे होने भर से होते नहीं नेक नतीजे करने कुछ  ...