Wo jhankta hai meri aankhon me
Aur dekhta hai
ki wo to mere andar hai
Aundha moonh karke baitha hai
Ek samandar jisne najane
Kitne qisson ko sameta hai
Ek Akash jo hai
toote dilon jitna khushk
Ek Samandar jo hai
taaza zakhm jitna shushk
Ek Akash jo itna neela hai
Jitna neela hai samandar
Ankhon ko dikhte hai dono ek jaise
Par andar jhankon
to bahut farq hai inke andar
ki akash hai ?
ya samandar hai ?
Wo jo mere andar hai
